Garam-e-talash-o-justuju Ab Hai Teri Nazar Kahan

garm-e-talash-o-justuju ab hai teri nazar kahan

KHun hai kuchh jama hua qalb kahan jigar kahan

hai ye tariq-e-ashiqi chahiye is mein be-KHudi

is mein chunan-chunin kahan is mein agar magar kahan

zulf thi jo bikhar gai ruKH tha ki jo nikhar gaya

hae wo sham ab kahan hae wo ab sahar kahan

kijiye aaj kis tarah dauD ke sajda-e-niyaz

ye bhi to hosh ab nahin panw kahan hai sar kahan

hae wo din guzar gae joshish-e-iztirab ke

nind qafas mein aa gai ab gham-e-baal-o-par kahan

hosh o KHirad ke phere mein umr-e-aziz sarf ki

raat to kaT gai yahan dekhiye ho sahar kahan

(745) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Garam-e-talash-o-justuju Ab Hai Teri Nazar Kahan In English By Famous Poet Asghar Gondvi. Garam-e-talash-o-justuju Ab Hai Teri Nazar Kahan is written by Asghar Gondvi. Read famous Poem Garam-e-talash-o-justuju Ab Hai Teri Nazar Kahan for youth and Student by Asghar Gondvi. Free Download Garam-e-talash-o-justuju Ab Hai Teri Nazar Kahan in PDF.