Gum Kar Diya Hai Did Ne Yun Sar-ba-sar Mujhe

gum kar diya hai did ne yun sar-ba-sar mujhe

milti hai ab unhin se kuchh apni KHabar mujhe

nalon se main ne aag laga di jahan mein

sayyaad jaanta tha faqat musht-e-par mujhe

allah re un ke jalwe ki hairat-fazaiyan

ye haal hai ki kuchh nahin aata nazar mujhe

mana harim-e-naz ka paya buland hai

le jaega uchhaal ke dard-e-jigar mujhe

aisa ki but-kade ka jise raaz ho supurd

ahl-e-haram mein koi na aaya nazar mujhe

kya dard-e-hijr aur ye kya lazzat-e-visal

is se bhi kuchh buland mili hai nazar mujhe

mast-e-shabab wo hain main sarshaar-e-ishq hun

meri KHabar unhen hai na un ki KHabar mujhe

jab asl is majaz o haqiqat ki ek hai

phir kyun phira rahe hain idhar se udhar mujhe

(767) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gum Kar Diya Hai Did Ne Yun Sar-ba-sar Mujhe In English By Famous Poet Asghar Gondvi. Gum Kar Diya Hai Did Ne Yun Sar-ba-sar Mujhe is written by Asghar Gondvi. Read famous Poem Gum Kar Diya Hai Did Ne Yun Sar-ba-sar Mujhe for youth and Student by Asghar Gondvi. Free Download Gum Kar Diya Hai Did Ne Yun Sar-ba-sar Mujhe in PDF.