Hai Dil-e-nakaam-e-ashiq Mein Tumhaari Yaad Bhi

hai dil-e-nakaam-e-ashiq mein tumhaari yaad bhi

ye bhi kya ghar hai ki hai barbaad bhi aabaad bhi

dil ke miTne ka mujhe kuchh aur aisa gham nahin

han magar itna ki hai is mein tumhaari yaad bhi

kis ko ye samjhaiye nairang-e-kar-e-ashiqi

tham gae ashk-e-musalsal ruk gai fariyaad bhi

sine mein dard-e-mohabbat raaz ban kar rah gaya

ab wo haalat hai ki kar sakte nahin fariyaad bhi

phaD Dalunga gareban phoD lunga apna sar

hai mere aafat-kade mein qais bhi farhad bhi

kuchh to 'asghar' mujh mein hai qaim hai jis se zindagi

jaan bhi kahte hain us ko aur un ki yaad bhi

(694) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Dil-e-nakaam-e-ashiq Mein Tumhaari Yaad Bhi In English By Famous Poet Asghar Gondvi. Hai Dil-e-nakaam-e-ashiq Mein Tumhaari Yaad Bhi is written by Asghar Gondvi. Read famous Poem Hai Dil-e-nakaam-e-ashiq Mein Tumhaari Yaad Bhi for youth and Student by Asghar Gondvi. Free Download Hai Dil-e-nakaam-e-ashiq Mein Tumhaari Yaad Bhi in PDF.