Ishq Hai Ek Kaif-e-pinhani Magar Ranjur Hai

ishq hai ek kaif-e-pinhani magar ranjur hai

husn-e-be-parda nahin hota magar dastur hai

KHastagi ne kar diya us ko rag-e-jaan se qarib

justuju zalim kahe jati thi manzil dur hai

le isi zulmat-kade mein us se mahrumi ki dad

us se aage ai dil-e-muztar hijab-e-nur hai

lab pe mauj-e-husn jab chamke tabassum nam ho

rabbi-areni kah ke chiKH uThun tu barq-e-tur hai

nur aankhon mein usi ka jalwa KHud nur-e-muhit

did kya hai kuchh talatum mein hujum-e-nur hai

aankh hai jab mahw-e-hairat to numayan hai wahi

fikr ho jab kar-farma to wahi mastur hai

dekhta hun main ki hai bahr-e-haqiqat josh par

jo hubab uTh uTh ke miTta hai sar-e-mansur hai

(747) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Hai Ek Kaif-e-pinhani Magar Ranjur Hai In English By Famous Poet Asghar Gondvi. Ishq Hai Ek Kaif-e-pinhani Magar Ranjur Hai is written by Asghar Gondvi. Read famous Poem Ishq Hai Ek Kaif-e-pinhani Magar Ranjur Hai for youth and Student by Asghar Gondvi. Free Download Ishq Hai Ek Kaif-e-pinhani Magar Ranjur Hai in PDF.