Mai-e-be-rang Ka Sau Rang Se Ruswa Hona

mai-e-be-rang ka sau rang se ruswa hona

kabhi mai-kash kabhi saqi kabhi mina hona

az azal ta-ba abad mahw-e-tamasha hona

main wo hun jisko na marna hai na paida hona

sare aalam mein hai betabi o shorish barpa

hae us shoKH ka ham-shakl-e-tamanna hona

fasl-e-gul kya hai ye meraj hai aab o gil ki

meri rag rag ko mubarak rag-e-sauda hona

keh ke kuchh lala o gul rakh liya parda main ne

mujhse dekha na gaya husn ka ruswa hona

jalwa-e-husn ko hai chashm-e-tahayyur ki talab

kis ki qismat mein hai mahrum-e-tamasha hona

dahr hi se wo numayan bhi hai pinhan bhi hai

jaise sahba ke liye parda-e-mina hona

teri shoKHi teri nairang adai ke nisar

ek nai jaan hai tajdid-e-tamanna hona

husn ke sath hai begana-nigahi ka maza

qahr hai qahr magar arz-e-tamanna hona

is se baDh kar koi be-rah-rawi kya hogi

gam-e-pur-shauq ka manzil se shanasa hona

mail-e-sher-o-ghazal phir hai tabiat 'asghar'

abhi kuchh aur muqaddar mein hai ruswa hona

(976) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mai-e-be-rang Ka Sau Rang Se Ruswa Hona In English By Famous Poet Asghar Gondvi. Mai-e-be-rang Ka Sau Rang Se Ruswa Hona is written by Asghar Gondvi. Read famous Poem Mai-e-be-rang Ka Sau Rang Se Ruswa Hona for youth and Student by Asghar Gondvi. Free Download Mai-e-be-rang Ka Sau Rang Se Ruswa Hona in PDF.