Majaz Kaisa Kahan Haqiqat Abhi Tujhe Kuchh KHabar Nahin Hai
majaz kaisa kahan haqiqat abhi tujhe kuchh KHabar nahin hai
ye sab hai ek KHwab ki si haalat jo dekhta hai sahar nahin hai
shamim-e-gulshan nasim-e-sahra shua-e-KHurshid mauj-e-dariya
har ek garm-e-safar hai in mein mera koi ham-safar nahin hai
nazar mein wo gul sama gaya hai tamam hasti pe chha gaya hai
chaman mein hun ya qafas mein hun main mujhe ab is ki KHabar nahin hai
chamak damak par miTa hua hai ye baghban tujhko kya hua hai
fareb-e-shabnam mein mubtala hai chaman ki ab tak KHabar nahin hai
ye mujh se sun le to raaz-e-pinhan salamti KHud hai dushman-e-jaan
kahan se rah-rau mein zindagi ho ki rah jab pur-KHatar nahin hai
main sar se pa tak hun mai-parasti tamam shorish tamam masti
khula hai mujh par ye raaz-e-hasti ki mujh ko kuchh bhi KHabar nahin hai
hawa ko mauj-e-sharab kar de faza ko mast o KHarab kar de
ye zindagi ko shabab kar de nazar tumhaari nazar nahin hai
paDa hai kya us ke dar pe 'asghar' wo shoKH mail hai imtihan par
subut de zindagi ka mar kar niyaz ab kargar nahin hai
(826) Peoples Rate This