Masti Mein Farogh-e-ruKH-e-jaanan Nahin Dekha

masti mein farogh-e-ruKH-e-jaanan nahin dekha

sunte hain bahaar aai gulistan nahin dekha

zahid ne mera hasil-e-iman nahin dekha

ruKH par teri zulfon ko pareshan nahin dekha

aae the sabhi tarah ke jalwe mere aage

main ne magar ai dida-e-hairan nahin dekha

is tarah zamana kabhi hota na pur-ashob

fitnon ne tera gosha-e-daman nahin dekha

har haal mein bas pesh-e-nazar hai wahi surat

main ne kabhi ru-e-shab-e-hijran nahin dekha

kuchh dawa-e-tamkin mein hai mazur bhi zahid

masti mein tujhe chaak-gareban nahin dekha

rudad-e-chaman sunta hun is tarah qafas mein

jaise kabhi aankhon se gulistan nahin dekha

mujh KHasta o mahjur ki aankhen hain tarasti

kab se tujhe ai sarw-KHiraman nahin dekha

kya kya hua hangam-e-junun ye nahin malum

kuchh hosh jo aaya to gareban nahin dekha

shaista-e-sohbat koi un mein nahin 'asghar'

kafir nahin dekhe ki musalman nahin dekha

(1527) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Masti Mein Farogh-e-ruKH-e-jaanan Nahin Dekha In English By Famous Poet Asghar Gondvi. Masti Mein Farogh-e-ruKH-e-jaanan Nahin Dekha is written by Asghar Gondvi. Read famous Poem Masti Mein Farogh-e-ruKH-e-jaanan Nahin Dekha for youth and Student by Asghar Gondvi. Free Download Masti Mein Farogh-e-ruKH-e-jaanan Nahin Dekha in PDF.