Mata-e-zist Kya Hum Zist Ka Hasil Samajhte Hain

mata-e-zist kya hum zist ka hasil samajhte hain

jise sab dard kahte hain use hum dil samajhte hain

isi se dil isi se zindagi-e-dil samajhte hain

magar hasil se baDh kar sai-e-be-hasil samajhte hain

kabhi sunte the hum ye zindagi hai wahm o be-mani

magar ab maut ko bhi KHatra-e-baatil samajhte hain

bahut samjhe hue hai sheKH rah-o-rasm-e-manzil ko

yahan manzil ko bhi hum jada-e-manzil samajhte hain

ubharna ho jahan ji chahta hai Dub marne ko

jahan uThti hon maujen hum wahan sahil samajhte hain

koi sargashta-e-rah-e-tariqat is ko kya jaane

yahan uftadgi ko hasil-e-manzil samajhte hain

tamasha hai niyaz o naz ki baham kashakash ka

main un ka dil samajhta hun wo mera dil samajhte hain

abas hai dawa-e-ishq-o-mohabbat KHam-karon ko

ye gham dete hain jis ko jauhar-e-qabil samajhte hain

gham-e-la-intiha sai-e-musalsal shauq-e-be-payan

maqam apna samajhte hain na hum manzil samajhte hain

(1881) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mata-e-zist Kya Hum Zist Ka Hasil Samajhte Hain In English By Famous Poet Asghar Gondvi. Mata-e-zist Kya Hum Zist Ka Hasil Samajhte Hain is written by Asghar Gondvi. Read famous Poem Mata-e-zist Kya Hum Zist Ka Hasil Samajhte Hain for youth and Student by Asghar Gondvi. Free Download Mata-e-zist Kya Hum Zist Ka Hasil Samajhte Hain in PDF.