Be-nishan Qadmon Ki Kahkashan PakaDte Hain

be-nishan qadmon ki kahkashan pakaDte hain

hum bhi kya diwane hain aasman pakaDte hain

koi dil ko bheje hai raushni ki tahriren

rauzanon mein kirnon ki Doriyan pakaDte hain

zehn us ke paikar mein Dub Dub jata hai

khelte hue bachche jab dhuan pakaDte hain

aap gahre pani ka ek baDa samundar hain

hum to ek manjhi hain machhliyan pakaDte hain

ab kahan uchhalte hain dekh kar jahazon ko

lekin aaj bhi bachche titliyan pakaDte hain

ghar ke sare darwaze jagte hain raaton ko

band band kamron ki choriyan pakaDte hain

ye bhi ek baDa fan hai aaj-kal ke logon mein

sher kah nahin sakte KHamiyan pakaDte hain

(709) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-nishan Qadmon Ki Kahkashan PakaDte Hain In English By Famous Poet Asghar Mehdi Hosh. Be-nishan Qadmon Ki Kahkashan PakaDte Hain is written by Asghar Mehdi Hosh. Read famous Poem Be-nishan Qadmon Ki Kahkashan PakaDte Hain for youth and Student by Asghar Mehdi Hosh. Free Download Be-nishan Qadmon Ki Kahkashan PakaDte Hain in PDF.