Is Se Pahle Ki Hawa Mujhko UDa Le Jae

is se pahle ki hawa mujh ko uDa le jae

apni zulfon mein koi aa ke saja le jae

jis ko is ahd mein jine ka hunar aata ho

us se kah do ki meri umr laga le jae

chandni khiDki se kamre mein utar aati hai

koi taswir na album se chura le jae

hausla dew se laDne ka kisi mein bhi nahin

chahte sab hain pari aa ke jaga le jae

apni KHatir na sahi kuchh to bacha kar rakkho

luTne koi agar aae to kya le jae

ibn-e-adam na kaho us ko farishta samjho

KHud ko jo dana-e-gandum se bacha le jae

(769) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Se Pahle Ki Hawa Mujhko UDa Le Jae In English By Famous Poet Asghar Mehdi Hosh. Is Se Pahle Ki Hawa Mujhko UDa Le Jae is written by Asghar Mehdi Hosh. Read famous Poem Is Se Pahle Ki Hawa Mujhko UDa Le Jae for youth and Student by Asghar Mehdi Hosh. Free Download Is Se Pahle Ki Hawa Mujhko UDa Le Jae in PDF.