Itna Ehsas To De Palne Wale Mujhko

itna ehsas to de palne wale mujh ko

main sambhal jaun agar koi sambhaale mujh ko

be-sahaara hun kisi waqt bhi gir jaunga

apni diwar mein jo chahe mila le mujh ko

Dubne se jo bachaega wo kya paega

main abhi lash nahin kaun nikale mujh ko

main payambar to nahin tha ki aman pa jata

kya chhupate bhi kahin makDi ke jale mujh ko

main bhi raushan hun magar subh ke tare ki tarah

chand lamhon mein Dubo denge ujale mujh ko

kya zaruri hai ki dushman hi ke sar jae azab

kar den ahbab hi qatil ke hawale mujh ko

tujh se haalat ke patthar na sahe jaenge

apne ehsas ka aaina bana le mujh ko

(743) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Itna Ehsas To De Palne Wale Mujhko In English By Famous Poet Asghar Mehdi Hosh. Itna Ehsas To De Palne Wale Mujhko is written by Asghar Mehdi Hosh. Read famous Poem Itna Ehsas To De Palne Wale Mujhko for youth and Student by Asghar Mehdi Hosh. Free Download Itna Ehsas To De Palne Wale Mujhko in PDF.