Jala Jala Ke Diye Pas Pas Rakhte Hain

jala jala ke diye pas pas rakhte hain

hum apne aap ko aksar udas rakhte hain

gulon ka rang phalon ki miThas rakhte hain

kuchh aadmi bhi shajar ka libas rakhte hain

unhen bhi KHali gilason ka TuTna hai pasand

zarur wo bhi koi zaKHm-e-yas rakhte hain

jo log nek the shabnam se ho gae sairab

wo kya karen jo samundar ki pyas rakhte hain

sukut-e-ab pe kankar uchhaal kar KHush the

ab aaj pani pe ghar ki asas rakhte hain

jinhon ne abr ke sae kabhi nahin dekhe

wo regzar bhi phulon ki aas rakhte hain

hawas ki naw badan ke bhanwar mein Dub gai

hum aise aur kai iqtibas rakhte hain

(939) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jala Jala Ke Diye Pas Pas Rakhte Hain In English By Famous Poet Asghar Mehdi Hosh. Jala Jala Ke Diye Pas Pas Rakhte Hain is written by Asghar Mehdi Hosh. Read famous Poem Jala Jala Ke Diye Pas Pas Rakhte Hain for youth and Student by Asghar Mehdi Hosh. Free Download Jala Jala Ke Diye Pas Pas Rakhte Hain in PDF.