Kaam Kuchh To Lena Tha Apne Dida-e-tar Se

kaam kuchh to lena tha apne dida-e-tar se

kaT din kai raaten aansuon ke KHanjar se

nind hai thakan si hai silwaTen hain yaaden hain

kitne log uThenge subh mere bistar se

jaan-bujh kar hum ne baadban khole hain

kis ko ab palaTna hai be-karan samundar se

bhigna muzir to tha phir bhi kaisi lazzat thi

jab ghaTaen uTThin thin main qarib tha ghar se

aaj to hawa bhi hai tez barf-bari bhi

yun bhi nind kya aati ek shikasta chadar se

jab bhi paenge mauqa phul toD hi lenge

bachche ruk nahin sakte baghban ke Dar se

ai nashat ke zino tum ko yaad to hoga

ek salam kah dena us madina-aKHtar se

(754) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaam Kuchh To Lena Tha Apne Dida-e-tar Se In English By Famous Poet Asghar Mehdi Hosh. Kaam Kuchh To Lena Tha Apne Dida-e-tar Se is written by Asghar Mehdi Hosh. Read famous Poem Kaam Kuchh To Lena Tha Apne Dida-e-tar Se for youth and Student by Asghar Mehdi Hosh. Free Download Kaam Kuchh To Lena Tha Apne Dida-e-tar Se in PDF.