Pyasa Raha Main Baala-qadi Ke Fareb Mein

pyasa raha main baala-qadi ke fareb mein

dariya bahut qarib tha mujh se nasheb mein

mauqa mila tha phir bhi na main aazma saka

us ki pasand ke kai sikke the jeb mein

pardes jaane wala palaT bhi to sakta hai

itna kahan shakeb tha is na-shakeb mein

sunta to hai badan ki ibaadat pe aayaten

aata nahin hai phir bhi kisi ke fareb mein

khilta hai us ke jism pe qatil ka bhi libas

kya aib DhunDhta koi us jama-zeb mein

bhuka parinda shaKH pe baiTha aur uD gaya

shayad koi miThas na thi kachche seb mein

(794) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pyasa Raha Main Baala-qadi Ke Fareb Mein In English By Famous Poet Asghar Mehdi Hosh. Pyasa Raha Main Baala-qadi Ke Fareb Mein is written by Asghar Mehdi Hosh. Read famous Poem Pyasa Raha Main Baala-qadi Ke Fareb Mein for youth and Student by Asghar Mehdi Hosh. Free Download Pyasa Raha Main Baala-qadi Ke Fareb Mein in PDF.