Dil Ka Phailaw

dil ka phailaw to zamin ka phailaw hai

gandum phal shisham aur pani

phir laDki aur hawa mein

naghma dil ke parindon ka

in zindon ka jo ghair-munafa-baKHsh zamin pe rahte hain

pani shisham bachcha laDki tez hawa aur phal mein

KHwab hai subh-e-sadiq ka

un auraton ka jo dusron ki marzi se byahi jati hain

un boson ka

jo gaDi ki siTi se Dar jate hain

shahr mein kaun hai

jis ne aankh mein dariya

dil mein samundar

dekha aur taslim kiya hai

dil ka phailaw to zamin ka phailaw hai

jis mein pani shisham gandum bachcha

laDki tez hawa aur phal ki

rihaish-gahen hain

(704) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ka Phailaw In English By Famous Poet Asghar Nadeem Sayed. Dil Ka Phailaw is written by Asghar Nadeem Sayed. Read famous Poem Dil Ka Phailaw for youth and Student by Asghar Nadeem Sayed. Free Download Dil Ka Phailaw in PDF.