Din Phaila Hai

bansuri ki dhun se chawal ki baali tak

din phaila hai

aur daranti wale hath mein us ka daman

jaise mallahon ke hath mein jal ho

ya phir ghoD-sawar ke hath mein us ki rasen

din phaila hai

dahi bilone ki aawaz se jamun ke peDon tak

chuDiyan pahanne wale hath mein us ka daman

khinchte khinchte oDhni ban jaega

din phaila hai

aasman se bachche ki nannhi muTThi tak

rafta rafta dudh mein Dhal jaega

din phaila hai

rail ki aahani paTri par

aur bhag raha hai chhoTe shahron ki manDi tak

bhagte bhagte surKH anar mein Dhal jaega

din phaila hai

gende ke phulon mein

maile bachchon ki KHali jebon mein

din phaila hai

meri teri aankhon mein

jo rafta rafta mustaqbil ki dhun pe gaya

ujle paniyon jaisa koi

git banega

(688) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Din Phaila Hai In English By Famous Poet Asghar Nadeem Sayed. Din Phaila Hai is written by Asghar Nadeem Sayed. Read famous Poem Din Phaila Hai for youth and Student by Asghar Nadeem Sayed. Free Download Din Phaila Hai in PDF.