Shahr-badar

sham ka pinjra mere jism pe gir jata hai

aur main darja dom ka qaidi

dushman ke aKHbar se puri duniya ke logon ki bigaDti shaklen dekhne lagta hun

aur suraj ki aazadi

mere jine ki KHwahish ko apna dost banane aa jati hai

mere nashte ke bartan mein meri mohabbat ke barson ka sara zaiqa bhar jata hai

cigarette ke har kash se dariya khinch aate hain

aur parinde apni auladon ko mere git ka choga dete hain

jab mere panw un ke banae zabton ki daldal mein dhans jate hain

meri aankhen lakhon mil safar kar jati hain

aur mere bazu rail ki donon paTriyan ban kar phailte hain

jab meri ragon mein shaeri KHun banati hai

main sham ka pinjra toD ke bahar aa jata hun

mere panw ke sab rishte ek duje se juD jate hain

mere lafz daraKHton ke gumbad mein kabutar ban ke gaTalne lagte hain

mein apne sirhane baiThe neruda se kuchh baaten puchhta hun

(727) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shahr-badar In English By Famous Poet Asghar Nadeem Sayed. Shahr-badar is written by Asghar Nadeem Sayed. Read famous Poem Shahr-badar for youth and Student by Asghar Nadeem Sayed. Free Download Shahr-badar in PDF.