Ek Fitna Sa UThaya Hai Chala Jaega

ek fitna sa uThaya hai chala jaega

waqt be-waqt jo aaya hai chala jaega

shahr ko sare jalane ke liye nikla tha

ab jo ghar mera jalaya hai chala jaega

baiThna hai to ghane peD ke niche baiTho

ye to diwar ka saya hai chala jaega

hum ko marega kahan shish-mahal mein rah kar

sirf patthar hi uThaya hai chala jaega

wo to aata hai andhere hi mein Dasne ke liye

ab to har samt ujala hai chala jaega

KHud hi thak jaega jab galiyan de kar mujh ko

us pe itna to bharosa hai chala jaega

us ne chup rah ke bhi tufan uThae kitne

aaj kohram machaya hai chala jaega

soch ke aaya tha duniya mein sab apne honge

apna saya bhi paraya hai chala jaega

gham ke aane ka koi gham nahin hum ko 'asghar'

apni marzi hi se aaya hai chala jaega

(667) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Fitna Sa UThaya Hai Chala Jaega In English By Famous Poet Asghar Velori. Ek Fitna Sa UThaya Hai Chala Jaega is written by Asghar Velori. Read famous Poem Ek Fitna Sa UThaya Hai Chala Jaega for youth and Student by Asghar Velori. Free Download Ek Fitna Sa UThaya Hai Chala Jaega in PDF.