Ho Gai Apnon Ki Zahir Dushmani Achchha Hua

ho gai apnon ki zahir dushmani achchha hua

chhoD di hum ne bhi un ki dosti achchha hua

bach gae apnon ke har mashq-e-sitam se shukr hai

doston ne hum ko samjha ajnabi achchha hua

jis ko jine ka zara sa bhi nahin tha hausla

Dar ke gham se mar gaya wo aadmi achchha hua

jaane main aur tu ke jhagDe kaise suljhate bhi hum

aa gai thi kaam apni be-KHudi achchha hua

sham ke sae se bhi Darti rahi jo raushni

kha gai us raushni ko tirgi achchha hua

gham hi apna yar hai dil se juda hota nahin

chand lamhon ki KHushi ab ja chuki achchha hua

kaun deta mujh ko un ki bewafai ka subut

aap ne kar di kahi ko an-kahi achchha hua

mujh ko diwana samajh kar log mujh se dur hain

muft mein jo mujh pe ye tohmat lagi achchha hua

is tarah se laj rakh li hum ne 'asghar' pyar ki

rote rote aa gai lab par hansi achchha hua

(1777) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ho Gai Apnon Ki Zahir Dushmani Achchha Hua In English By Famous Poet Asghar Velori. Ho Gai Apnon Ki Zahir Dushmani Achchha Hua is written by Asghar Velori. Read famous Poem Ho Gai Apnon Ki Zahir Dushmani Achchha Hua for youth and Student by Asghar Velori. Free Download Ho Gai Apnon Ki Zahir Dushmani Achchha Hua in PDF.