Kahne Aae The Kuchh Kaha Hi Nahin

kahne aae the kuchh kaha hi nahin

chal diye jaise kuchh suna hi nahin

is qadar zulm ibn-e-adam par

jaise us ka koi KHuda hi nahin

hum jama kar nigah baiThe hain

apni qismat ka dar khula hi nahin

fikr aaghaz hi ki hai sab ko

koi anjam sochta hi nahin

tere maqtal mein aa gae aaKHir

aur kuchh hum ko rasta hi nahin

wo tere naqsh-e-pa ko kya samjhe

jis ka sajde mein sar jhuka hi nahin

tu kitabon mein DhunDhta kya hai

ishq ki chaara-gar dawa hi nahin

jis ko sine se hum laga lete

hum ko aisa koi mila hi nahin

aur ab ji ke kya karen 'asghar'

ab to jine mein kuchh maza hi nahin

(661) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahne Aae The Kuchh Kaha Hi Nahin In English By Famous Poet Asghar Velori. Kahne Aae The Kuchh Kaha Hi Nahin is written by Asghar Velori. Read famous Poem Kahne Aae The Kuchh Kaha Hi Nahin for youth and Student by Asghar Velori. Free Download Kahne Aae The Kuchh Kaha Hi Nahin in PDF.