Ek Shahr Ziya-bar Yahan Bhi Hai Wahan Bhi

ek shahr ziya-bar yahan bhi hai wahan bhi

lekin mera aazar yahan bhi wahan bhi

raushan mere andar ke andheron mein barabar

ek aatish-e-pindar yahan bhi hai wahan bhi

ahbab mere ek hi jaise hain jahan hain

ek jazba-e-isar yahan bhi hai wahan bhi

ek subh tere sath kai mil chale the

us subh ka asrar yahan bhi hai wahan bhi

gar sath azizo na mayassar ho tumhaara

jina mera bekar yahan bhi hai wahan bhi

hai jis ki rawani se lahu garm hamara

wo chashma-e-bedar yahan bhi hai wahan bhi

aankhon se mere dil mein samaya hai jo 'ashhar'

us shoKH ki sarkar yahan bhi hai wahan bhi

(729) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Shahr Ziya-bar Yahan Bhi Hai Wahan Bhi In English By Famous Poet Ashar Hashmi. Ek Shahr Ziya-bar Yahan Bhi Hai Wahan Bhi is written by Ashar Hashmi. Read famous Poem Ek Shahr Ziya-bar Yahan Bhi Hai Wahan Bhi for youth and Student by Ashar Hashmi. Free Download Ek Shahr Ziya-bar Yahan Bhi Hai Wahan Bhi in PDF.