Shahr Mein Chhai Hui Diwar-ta-diwar Thi

shahr mein chhai hui diwar-ta-diwar thi

ek pathrili KHamoshi paikar-e-guftar thi

baadalon ki chiTThiyan kya aain dariyaon ke nam

har taraf pani ki ek chalti hui diwar thi

inkishaf-e-shahr-e-na-malum tha har sher mein

tajrabe ki taza-kari surat-e-ashaar thi

aarzu thi samne baiThe rahen baaten karen

aarzu lekin bechaari kis qadar lachaar thi

ghar ki donon khiDkiyan khulti thin sare shahr par

ek hi manzar ki pure shahr mein takrar thi

aansuon ke chand qatron se thi tar puri kitab

har waraq par ek surat mael-e-guftar thi

us se milne ki talab mein ji liye kuchh aur din

wo bhi KHud bite dinon se bar-sar-e-paikar thi

(633) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shahr Mein Chhai Hui Diwar-ta-diwar Thi In English By Famous Poet Ashar Hashmi. Shahr Mein Chhai Hui Diwar-ta-diwar Thi is written by Ashar Hashmi. Read famous Poem Shahr Mein Chhai Hui Diwar-ta-diwar Thi for youth and Student by Ashar Hashmi. Free Download Shahr Mein Chhai Hui Diwar-ta-diwar Thi in PDF.