Kya Qadr-e-ana Hogi Jabin Jaan Rahi Hai

kya qadr-e-ana hogi jabin jaan rahi hai

jis shahr mein sajdon ki hi pahchan rahi hai

kuchh hum ne bhi duniya ko sataya hai bahr haal

kuchh apni tabiat se bhi halkan rahi hai

mazbut raha husn-e-nazar se mera rishta

jab tak wo mere shahr mein mehman rahi hai

mai ne bhi diya hai meri wahshat ko baDhawa

do chaar dinon wo bhi nigahban rahi hai

us ko to safar karte nahin dekha kisi ne

rahon ki magar dhul use pahchan rahi hai

wo ho ki na ho farq nahin paDta hai kuchh bhi

ye raat kai sadiyon se viran rahi hai

kya jaane kahan KHatm ho 'ashhar' ki kahani

ab tak to kisi dard ka unwan rahi hai

(777) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Qadr-e-ana Hogi Jabin Jaan Rahi Hai In English By Famous Poet Ashar Hashmi. Kya Qadr-e-ana Hogi Jabin Jaan Rahi Hai is written by Ashar Hashmi. Read famous Poem Kya Qadr-e-ana Hogi Jabin Jaan Rahi Hai for youth and Student by Ashar Hashmi. Free Download Kya Qadr-e-ana Hogi Jabin Jaan Rahi Hai in PDF.