Andhere Mein Tajassus Ka Taqaza ChhoD Jaana Hai

andhere mein tajassus ka taqaza chhoD jaana hai

kisi din KHamushi mein KHud ko tanha chhoD jaana hai

samundar hai magar wo chahta hai Dubna mujh mein

mujhe bhi us ki KHatir ye kinara chhoD jaana hai

bahut KHush hun main sahil par chamakti sipiyan chun kar

magar mujh ko to ek din ye KHazana chhoD jaana hai

tulu-e-subh ki aahaT se lashkar jag jaega

chala jae abhi wo jis ko KHema chhoD jaana hai

na jaane kab koi aa kar meri takmil kar jae

isi ummid pe KHud ko adhura chhoD jaana hai

kahan tak KHak ka paikar liye phirta rahunga main

use barish ke mausam mein nihatta chhoD jaana hai

(900) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Andhere Mein Tajassus Ka Taqaza ChhoD Jaana Hai In English By Famous Poet Ashar Najmi. Andhere Mein Tajassus Ka Taqaza ChhoD Jaana Hai is written by Ashar Najmi. Read famous Poem Andhere Mein Tajassus Ka Taqaza ChhoD Jaana Hai for youth and Student by Ashar Najmi. Free Download Andhere Mein Tajassus Ka Taqaza ChhoD Jaana Hai in PDF.