Is Safar Mein Nim-jaan Main Bhi Nahin Tu Bhi Nahin

is safar mein nim-jaan main bhi nahin tu bhi nahin

aur zer-e-saeban main bhi nahin tu bhi nahin

zahr mein Dubi hui parchhaiyon ka raqs hai

KHud se wabasta yahan main bhi nahin tu bhi nahin

na-tamami ke sharar mein roz o shab jalte rahe

sach to ye hai be-zaban main bhi nahin tu bhi nahin

zard lafzon ke dhundalke sham ki aankhon mein hain

garche zeb-e-dastan main bhi nahin tu bhi nahin

na-tawan jismon pe kyun hai gardishon ka mor-nach

shab-gazida aasman main bhi nahin tu bhi nahin

be-asar ho jae jis se dil ka zaKHm-e-atishin

marham-e-wahm-o-guman main bhi nahin tu bhi nahin

shab ki gahri KHamushi bhi gosh-bar-awaz hai

aahaTon ka karwan main bhi nahin tu bhi nahin

ehtiyaton ki guzargahen to pichhe rah gain

ab sada-e-mehrban main bhi nahin tu bhi nahin

(640) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Safar Mein Nim-jaan Main Bhi Nahin Tu Bhi Nahin In English By Famous Poet Ashar Najmi. Is Safar Mein Nim-jaan Main Bhi Nahin Tu Bhi Nahin is written by Ashar Najmi. Read famous Poem Is Safar Mein Nim-jaan Main Bhi Nahin Tu Bhi Nahin for youth and Student by Ashar Najmi. Free Download Is Safar Mein Nim-jaan Main Bhi Nahin Tu Bhi Nahin in PDF.