Masala Ye To Nahin Ki Sin-rasida Kaun Tha

masala ye to nahin ki sin-rasida kaun tha

han magar mahfil mein teri barguzida kaun tha

faisla jis ka bhi tha tera nahin mera sahi

waqt-e-ruKHsat sar jhukae aab-dida kaun tha

ek qatre ki talab aur tha samundar samne

bazm-e-yaran mein bhala wo bad-aqida kaun tha

tum bhi the sarshaar main bhi gharq-e-bahr-e-rang-o-bu

phir bhala donon mein aaKHir KHud-kashida kaun tha

(766) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Masala Ye To Nahin Ki Sin-rasida Kaun Tha In English By Famous Poet Ashar Najmi. Masala Ye To Nahin Ki Sin-rasida Kaun Tha is written by Ashar Najmi. Read famous Poem Masala Ye To Nahin Ki Sin-rasida Kaun Tha for youth and Student by Ashar Najmi. Free Download Masala Ye To Nahin Ki Sin-rasida Kaun Tha in PDF.