Hangam-e-shab-o-roz Mein Uljha Hua Kyun Hun

hangam-e-shab-o-roz mein uljha hua kyun hun

dariya hun to phir rah mein Thahra hua kyun hun

kyun meri jaDen ja ke zamin se nahin miltin

gamle ki tarah sahn mein rakkha hua kyun hun

is ghar ke makinon ka rawayya bhi to dekhun

tazin-e-dar-o-baam mein khoya hua kyun hun

girti nahin kyun mujh pe kisi zaKHm ki shabnam

main qafila-e-dard se bachhDa hua kyun hun

aankhon pe jo utra na hua dil pe jo tahrir

us KHwab ki tabir se sahma hua kyun hun

din bhar ke jhamelon se bacha laya tha KHud ko

sham aate hi 'ashfaq' main TuTa hua kyun hun

(800) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hangam-e-shab-o-roz Mein Uljha Hua Kyun Hun In English By Famous Poet Ashfaq Husain. Hangam-e-shab-o-roz Mein Uljha Hua Kyun Hun is written by Ashfaq Husain. Read famous Poem Hangam-e-shab-o-roz Mein Uljha Hua Kyun Hun for youth and Student by Ashfaq Husain. Free Download Hangam-e-shab-o-roz Mein Uljha Hua Kyun Hun in PDF.