Girti Hai To Gir Jae Ye Diwar-e-sukun Bhi

girti hai to gir jae ye diwar-e-sukun bhi

jine ke liye chahiye thoDa sa junun bhi

ye kaisi ana hai mere andar ki musalsal

dekhun use lekin nazar-andaz karun bhi

khul kar to wo mujh se kabhi milta hi nahin hai

aur us se bichhaD jaane ka imkan hai yun bhi

aisi bhi koi KHas talluq ki faza ho

mahfil mein jab us ki na rahun aur rahun bhi

wo raaz jo bas us ki nigahon ne paDha hai

ji chahta hai main use honTon se kahun bhi

us waqt kahin ja ke ghazal hogi mukammal

aankhon se Tapak jae jo ek qatra-e-KHun bhi

(899) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Girti Hai To Gir Jae Ye Diwar-e-sukun Bhi In English By Famous Poet Ashfaq Husain. Girti Hai To Gir Jae Ye Diwar-e-sukun Bhi is written by Ashfaq Husain. Read famous Poem Girti Hai To Gir Jae Ye Diwar-e-sukun Bhi for youth and Student by Ashfaq Husain. Free Download Girti Hai To Gir Jae Ye Diwar-e-sukun Bhi in PDF.