Gham To Tha Phir Bhi Be-shumar Na Tha

gham to tha phir bhi be-shumar na tha

neza sine ke aar-par na tha

mere girne pe kyun hai istiajab

main to waise bhi shahsawar na tha

wo jo phirta tha le ke sher ki khaal

us ka mara hua shikar na tha

kaise rishte hain us ki maut ke baad

KHun KHud us ka sogwar na tha

hum bhi sairab ho chuke hote

matl-e-baKHt abr-bar na tha

saKHt-jaani rahi bahana hai

tera KHanjar hi aab-dar na tha

main lada tha chala wo chal na saka

us pe haalanki koi haar na tha

(587) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham To Tha Phir Bhi Be-shumar Na Tha In English By Famous Poet Ashfaq Rehbar. Gham To Tha Phir Bhi Be-shumar Na Tha is written by Ashfaq Rehbar. Read famous Poem Gham To Tha Phir Bhi Be-shumar Na Tha for youth and Student by Ashfaq Rehbar. Free Download Gham To Tha Phir Bhi Be-shumar Na Tha in PDF.