Aa Jao Ab To Zulf Pareshan Kiye Hue

aa jao ab to zulf pareshan kiye hue

hum rah par hain shama farozan kiye hue

mayus qalb hai teri aamad ka muntazir

dahliz par nigah ko chaspan kiye hue

ahd-e-wafa ko toD ke hum bhi hain muzmahil

tum bhi udhar ho chaak gareban kiye hue

aao to mere sahn mein ho jae raushni

muddat guzar gai hai charaghan kiye hue

baiThe hain tishna-kaam sar-e-rahguzar tamam

saqi teri sharab ka arman kiye hue

aa jao ki bahaar hai apne shabab par

'ibn-e-chaman' ke wasl ka saman kiye hue

(1097) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aa Jao Ab To Zulf Pareshan Kiye Hue In English By Famous Poet Ashhad Bilal Ibn-e-chaman. Aa Jao Ab To Zulf Pareshan Kiye Hue is written by Ashhad Bilal Ibn-e-chaman. Read famous Poem Aa Jao Ab To Zulf Pareshan Kiye Hue for youth and Student by Ashhad Bilal Ibn-e-chaman. Free Download Aa Jao Ab To Zulf Pareshan Kiye Hue in PDF.