Dil Manta Nahin Hai Manane Ke Baad Bhi

dil manta nahin hai manane ke baad bhi

karta hai un ko yaad bhulane ke baad bhi

paiman ki nazr ho gae chain o sukun, qarar

lekin nibha nahin hai nibhane ke baad bhi

ek lafz yaad tha mujhe tark-e-wafa magar

bhula hua hun Thokaren khane ke baad bhi

taskin-e-dil nasib nahin hai to kya hua

hona yahi hai pyar jatane ke baad bhi

bujhti nahin hai tishnagi didar-e-yar ki

nazron se un ke lakh pilane ke baad bhi

ab bhi hai hum ko ahl-e-chaman bas unhin se pyar

is dil ko bar bar dukhane ke baad bhi

(750) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Manta Nahin Hai Manane Ke Baad Bhi In English By Famous Poet Ashhad Bilal Ibn-e-chaman. Dil Manta Nahin Hai Manane Ke Baad Bhi is written by Ashhad Bilal Ibn-e-chaman. Read famous Poem Dil Manta Nahin Hai Manane Ke Baad Bhi for youth and Student by Ashhad Bilal Ibn-e-chaman. Free Download Dil Manta Nahin Hai Manane Ke Baad Bhi in PDF.