Kashmakash Mein Hain Teri Zulfon Ke Zindani Hanuz

kashmakash mein hain teri zulfon ke zindani hanuz

tirgi paiham hai KHam-dar-KHam pareshani hanuz

rakhte hain hum maqsad-e-tamir-e-nau pesh-e-nazar

garche hain min-jumla-e-asbab-e-virani hanuz

sath-e-dariya par sukun sa hai magar ai sath-biin

qar-o-dariya mein wahi maujen hain tufani hanuz

ab junun mein bhi nahin aata hai sahra ka KHayal

shahr-e-hikmat mein hai wahshat-KHez virani hanuz

pursish-e-ahl-e-qalam ho ya na ho hoti to hai

sang-e-marmar ke mazaron par gul-afshani hanuz

hum ne rakh di qalib-e-ashaar mein chiz-e-digar

tum nahin kar pae takmil-e-zaban-dani hanuz

'ashk' usul-e-kasb-e-zar se tu nahin hai aashna

tishna-e-takmil hai teri hama-dani hanuz

(896) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kashmakash Mein Hain Teri Zulfon Ke Zindani Hanuz In English By Famous Poet Ashk Amritsari. Kashmakash Mein Hain Teri Zulfon Ke Zindani Hanuz is written by Ashk Amritsari. Read famous Poem Kashmakash Mein Hain Teri Zulfon Ke Zindani Hanuz for youth and Student by Ashk Amritsari. Free Download Kashmakash Mein Hain Teri Zulfon Ke Zindani Hanuz in PDF.