Qaid-e-hasti Mein Hun Apne Farz Ki Tamil Tak

qaid-e-hasti mein hun apne farz ki tamil tak

ek nai duniya nae insan ki tashkil tak

dam ham-rang-e-zamin phaila diya sayyaad ne

wadi-e-gang-o-jaman se rud-bar-e-nil tak

aankh se bah jaega dil mein agar baqi raha

qatra-e-KHun dastan-e-dard ki takmil tak

shairi ka saz hai wo saz ho jis saz mein

naghma-e-ruh-ul-amin se bang-e-israfil tak

tu hi asrar-e-suKHan se hai abhi na-ashna

warna is ijmal mein maujud hai tafsil tak

bas nahin chalta hai un ka warna ye zulmat-parast

apni phunkon se bujha den arsh ki qindil tak

ashk' apne sina-e-pur-KHun mein sail-e-ashk bhi

rok rakhta hun jigar ke KHun ki tahlil tak

(752) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qaid-e-hasti Mein Hun Apne Farz Ki Tamil Tak In English By Famous Poet Ashk Amritsari. Qaid-e-hasti Mein Hun Apne Farz Ki Tamil Tak is written by Ashk Amritsari. Read famous Poem Qaid-e-hasti Mein Hun Apne Farz Ki Tamil Tak for youth and Student by Ashk Amritsari. Free Download Qaid-e-hasti Mein Hun Apne Farz Ki Tamil Tak in PDF.