Aaine Mein KHam Aaya

dafatan yunhi ek din

aaine mein KHam aaya

is tarah wo bauraya

meri KHushnuma surat

KHun se ho gai lat-pat

paine kanch ke TukDe

har taraf chhiTakne lage

ek TukDa aawara

jaane kaise ja pahuncha

yaad ki sawari par

bhule-bisre mazi par

bijli ki tarah chamka

jab wo ja ke Takraya

gum-shuda ek patthar se

uTh gae bawanDar se

ek dam ye yaad aaya

main ne hi uchhaala tha!

is ana ke patthar ko

dagh-e-dil ke nashtar ko

wo hi lauT kar aaya

aaine se Takraya

dafatan yunhi ek din!

(935) Peoples Rate This


Fatal error: Uncaught PDOException: SQLSTATE[42S22]: Column not found: 1054 Unknown column 'id' in 'ORDER BY' in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php:544 Stack trace: #0 /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php(544): PDOStatement->execute() #1 {main} thrown in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php on line 544