Bas Dikha De Rah-e-mai-KHana Koi

bas dikha de rah-e-mai-KHana koi

le chale ya su-e-virana koi

kya mila farzanon mein rah kar mujhe

un se to behtar hai diwana koi

rah-guzar-e-shauq ka hai ye karam

ho gaya apna hi begana koi

aaj ke haalat par likkhun to kya

gar likhun samjhoge afsana koi

main hun aur tanhaiyon ka dasht hai

dard ko mere nahin jaana koi

main ne bhi sikha hai duniya se bahut

sikhe mujh se bhi to gham khana koi

kahte hain 'sahil' se aksar mehrban

hai ghazal ya harf-e-rindana koi

(627) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bas Dikha De Rah-e-mai-KHana Koi In English By Famous Poet Ashok Sawhny Sahil. Bas Dikha De Rah-e-mai-KHana Koi is written by Ashok Sawhny Sahil. Read famous Poem Bas Dikha De Rah-e-mai-KHana Koi for youth and Student by Ashok Sawhny Sahil. Free Download Bas Dikha De Rah-e-mai-KHana Koi in PDF.