Gulsitan-e-zindagi Mein Zindagi Paida Karo

gulsitan-e-zindagi mein zindagi paida karo

muskura kar ruh mein kuchh tazgi paida karo

murdani chehre bana kar faeda jine se kya

kam se kam is zindagi mein zindagi paida karo

toD do baDh kar andheri raat ke shaDyantr ko

kuchh nahin to aarzu-e-raushni paida karo

waqt ke be-rahm hathon ne kuchal Dala jinhen

un KHizan-dida gulon mein tazgi paida karo

dekh lena ye jahan jannat-nishan ban jaega

dushmanon se rasm-o-rah-e-zindagi paida karo

sirf aabaadi baDhane se koi hasil nahin

jin mein ho insaniyat wo aadmi paida karo

kaba o kashi alamat hain KHuda ke nur ke

tum gharibon ke gharon mein raushni paida karo

zindagi baKHshi gai hai dard-e-dil ke waste

zindagi mein dard-e-dil ai 'sahni' paida karo

(717) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gulsitan-e-zindagi Mein Zindagi Paida Karo In English By Famous Poet Ashok Sawhny. Gulsitan-e-zindagi Mein Zindagi Paida Karo is written by Ashok Sawhny. Read famous Poem Gulsitan-e-zindagi Mein Zindagi Paida Karo for youth and Student by Ashok Sawhny. Free Download Gulsitan-e-zindagi Mein Zindagi Paida Karo in PDF.