Isko Ghurur-e-ishq Ne Kya Kya Bana Diya
is ko ghurur-e-ishq ne kya kya bana diya
patthar bana diya kabhi shisha bana diya
har zaKHm-e-dil ko hum ne sajaya hai is tarah
jugnu bana diya kabhi tara bana diya
main kis zaban se shukr KHuda ka ada karun
jis ne mujhe firaq ka shaida bana diya
ab kis ke dar pe jaun main insaf ke liye
munsif ne qatilon ko masiha bana diya
jab bhi hamein mahaz se aawaz di gai
hum ne lahu se hind ka naqsha bana diya
us ko KHulus kaise nazar aaega 'ashok'
dushman ko intiqam ne andha bana diya
(951) Peoples Rate This
Fatal error: Uncaught PDOException: SQLSTATE[42S22]: Column not found: 1054 Unknown column 'id' in 'ORDER BY' in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php:544 Stack trace: #0 /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php(544): PDOStatement->execute() #1 {main} thrown in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php on line 544
Ashok Sawhny