Palkon Pe Intizar Ka Mausam Saja Liya

palkon pe intizar ka mausam saja liya

us se bichhaD ke rog gale se laga liya

koi to aisi baat thi hum kuchh na kar sake

sare jahan mein KHud ko tamasha bana liya

ab ye kise bataen hamein kya KHushi mili

jis din zara sa bojh kisi ka uTha liya

main umr bhar na jaane bhaTakta kahan kahan

achchha hua jo aap ne apna bana liya

kitne sakun se kaT di purkhon ne zindagi

jo mil gaya nasib se chup-chap kha liya

ahbab ko na dijiye ilzam dosto

hum ne to dushmanon ko bhi apna bana liya

guzre hain zindagi mein bahut tajrabaat se

lekin 'ashok' jine ka andaz pa liya

(779) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Palkon Pe Intizar Ka Mausam Saja Liya In English By Famous Poet Ashok Sawhny. Palkon Pe Intizar Ka Mausam Saja Liya is written by Ashok Sawhny. Read famous Poem Palkon Pe Intizar Ka Mausam Saja Liya for youth and Student by Ashok Sawhny. Free Download Palkon Pe Intizar Ka Mausam Saja Liya in PDF.