Aalam Mein Agar Ishq Ka Bazar Na Hota

aalam mein agar ishq ka bazar na hota

koi kisi bande ka KHaridar na hota

hasti ki KHarabi nazar aati jo adam mein

us KHwab se hargiz koi bedar na hota

kahta hai tujhe KHak na dun ghair-e-aziyat

ye dil mein agar thi to mera yar na hota

malum kise thi ye teri KHana-KHarabi

main jaanta aisa to giraftar na hota

aalam ko jalati hai teri garmi-e-majlis

marte hum agar saya-e-diwar na hota

ai shaiKH agar kufr se islam juda hai

pas chahiye tasbih mein zunnar na hota

zalim mere hasid ki to shadi thi isi mein

yani mujhe dar tak bhi tere bar na hota

dete teri majlis mein agar rah 'fughan' ko

us shaKHs se hargiz koi be-zar na hota

(721) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aalam Mein Agar Ishq Ka Bazar Na Hota In English By Famous Poet Ashraf Ali Fughan. Aalam Mein Agar Ishq Ka Bazar Na Hota is written by Ashraf Ali Fughan. Read famous Poem Aalam Mein Agar Ishq Ka Bazar Na Hota for youth and Student by Ashraf Ali Fughan. Free Download Aalam Mein Agar Ishq Ka Bazar Na Hota in PDF.