Chand Taron Se Bhara Ye Aasman De Jaunga

chand taron se bhara ye aasman de jaunga

KHud rahunga dhup mein aur saeban de jaunga

mere achchhe ham-safar tujh ko bhi main jate hue

rah se bhaTka hua ek karwan de jaunga

hain zuleKHaen bahut koi bhi yusuf ho to main

misr ke bazar mein us ko dukan de jaunga

jis ne toDa dil mera aur KHwab kirchi kar diye

us ko shishe ka bana main ek makan de jaunga

mere sahil par rukengi jis nazar ki kashtiyan

us ki palkon ko naya ek baadban de jaunga

dushmanon ke samne to be-KHatar jaunga 'shad'

tir un ke toD kar phir ek kaman de jaunga

(685) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chand Taron Se Bhara Ye Aasman De Jaunga In English By Famous Poet Ashraf Shad. Chand Taron Se Bhara Ye Aasman De Jaunga is written by Ashraf Shad. Read famous Poem Chand Taron Se Bhara Ye Aasman De Jaunga for youth and Student by Ashraf Shad. Free Download Chand Taron Se Bhara Ye Aasman De Jaunga in PDF.