De Aaya Apni Jaan Bhi Darbar-e-ishq Mein

de aaya apni jaan bhi darbar-e-ishq mein

phir bhi na ban saka KHabar aKHbar-e-ishq mein

jab mil na paya us se mujhe izn-e-guftugu

main ek kitab ban gaya izhaar-e-ishq mein

qimat laga saka na KHaridar phir bhi main

jins-e-wafa bana raha bazar-e-ishq mein

shayad yahi thi us ki mohabbat ki intiha

mujh ko bhi us ne chun diya diwar-e-ishq mein

tah tak main khoj aaya hua gharq bar bar

aaya na phir bhi tairna manjhdar-e-ishq mein

(888) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

De Aaya Apni Jaan Bhi Darbar-e-ishq Mein In English By Famous Poet Ashraf Shad. De Aaya Apni Jaan Bhi Darbar-e-ishq Mein is written by Ashraf Shad. Read famous Poem De Aaya Apni Jaan Bhi Darbar-e-ishq Mein for youth and Student by Ashraf Shad. Free Download De Aaya Apni Jaan Bhi Darbar-e-ishq Mein in PDF.