Kaisa Tilism Aaj Ye Tari Hai Jism Mein

kaisa tilism aaj ye tari hai jism mein

tera warud shauq se jari hai jism mein

tum bhi na jaan paoge is dil ka iztirab

tum ne to ek umr guzari hai jism mein

ek sabz raushni hai jo ghere hue mujhe

aayat zuha ki kis ne utari hai jism mein

ye mera ishq hai ki jo zinda hai mujh mein tu

warna to ek sans bhi bhaari hai jism mein

tab se ajib sog mein Duba hua hai dil

kuchh KHwahishon ne jaan jo haari hai jism mein

piran-e-ishq ki ye duaon ka hai asar hai

zamzam mohabbaton ka jo jari hai jism mein

shayad ki teri yaad ke mahke hain phul kuchh

'anjum' jo aaj raqs-e-KHumari hai jism mein

(700) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaisa Tilism Aaj Ye Tari Hai Jism Mein In English By Famous Poet Asif Anjum. Kaisa Tilism Aaj Ye Tari Hai Jism Mein is written by Asif Anjum. Read famous Poem Kaisa Tilism Aaj Ye Tari Hai Jism Mein for youth and Student by Asif Anjum. Free Download Kaisa Tilism Aaj Ye Tari Hai Jism Mein in PDF.