Ret Aankhon Mein Bhar Gaya Dariya

ret aankhon mein bhar gaya dariya

kaise aaya kidhar gaya dariya

rasta mil saka na aankhon se

mere andar hi mar gaya dariya

main to pyasa tha KHushk sahra sa

mujh mein kaise utar gaya dariya

us ki aankhon ki dekh gahrai

KHamushi se guzar gaya dariya

baat kitni thi muKHtasar us ki

wo to kuze mein bhar gaya dariya

phir muqaddar wahan thi barbaadi

jis taraf se guzar gaya dariya

dekhne ki thin us ki maujen phir

baat se jab mukar gaya dariya

dekh kar is qadar talatum ko

meri aankhon se Dar gaya dariya

(636) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ret Aankhon Mein Bhar Gaya Dariya In English By Famous Poet Asif Anjum. Ret Aankhon Mein Bhar Gaya Dariya is written by Asif Anjum. Read famous Poem Ret Aankhon Mein Bhar Gaya Dariya for youth and Student by Asif Anjum. Free Download Ret Aankhon Mein Bhar Gaya Dariya in PDF.