Ye Meri Bazm Nahin Hai Lekin

ye meri bazm nahin hai lekin

dil laga hai to laga rahne do

jaane walon ki taraf mat dekho

rang-e-mahfil ko jama rahne do

ek mela sa mere dil ke qarib

aarzuon ka laga rahne do

un pe phaya na rakkho marham ka

mere zaKHmon ko hara rahne do

dostana hai shikasta jis se

us ko sine se laga rahne do

hosh mein hai to zamana sara

mujh ko diwana bana rahne do

jab chalo rah-e-haqiqat pe koi

KHwab aankhon mein basa rahne do

dil ke pani mein utaro mahtab

is pyale ko bhara rahne do

(753) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Meri Bazm Nahin Hai Lekin In English By Famous Poet Asif Raza. Ye Meri Bazm Nahin Hai Lekin is written by Asif Raza. Read famous Poem Ye Meri Bazm Nahin Hai Lekin for youth and Student by Asif Raza. Free Download Ye Meri Bazm Nahin Hai Lekin in PDF.