Ye Dil Mein Waswasa Kya Pal Raha Hai

ye dil mein waswasa kya pal raha hai

tera milna bhi mujh ko khal raha hai

jise main ne kiya tha be-KHudi mein

jabin par ab wo sajda jal raha hai

mujhe mat do mubarakbaad-e-hasti

kisi ka hai ye saya chal raha hai

sar-e-sahra sada dil ke shajar se

barasta dur ek baadal raha hai

fasad-e-laghzish-e-taKHliq-e-adam

abhi tak hath yazdan mal raha hai

dilon ki aag kya kafi nahin hai

jahannam be-zarurat jal raha hai

(829) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Dil Mein Waswasa Kya Pal Raha Hai In English By Famous Poet Asif Raza. Ye Dil Mein Waswasa Kya Pal Raha Hai is written by Asif Raza. Read famous Poem Ye Dil Mein Waswasa Kya Pal Raha Hai for youth and Student by Asif Raza. Free Download Ye Dil Mein Waswasa Kya Pal Raha Hai in PDF.