Sahil-e-intizar Mein Tanha

sahil-e-intizar mein tanha

yaad wo lahar lahar aae mujhe

dasht-e-diwangi ke Tilon par

raqs karti hawa bulae mujhe

ajnabi mujh se aa gale mil le

aaj ek dost yaad aae mujhe

bhul baiTha hun main zamane ko

ab zamana bhi bhul jae mujhe

ek gharaunda hun ret ka paiham

koi Dhae mujhe banae mujhe

ek harf-e-ghalat hun hasti ka

nesti kyun na phir miTae mujhe

dafatan mere ru-ba-ru aa kar

aaine mein koi Darae mujhe

aandhiyan kyun meri talash mein hon

ek jhonka hi jab bujhae mujhe

jaise ek naqsh-e-na-durust ko tifl

koi andar se yun miTae mujhe

rakh apni umang ki hun 'raza'

aa ke jhonka koi uDae mujhe

(865) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sahil-e-intizar Mein Tanha In English By Famous Poet Asif Raza. Sahil-e-intizar Mein Tanha is written by Asif Raza. Read famous Poem Sahil-e-intizar Mein Tanha for youth and Student by Asif Raza. Free Download Sahil-e-intizar Mein Tanha in PDF.