Ghazal Mein Dard Ka Jadu Mujhi Ko Hona Tha

ghazal mein dard ka jadu mujhi ko hona tha

ki dasht-e-ishq mein bahu mujhi ko hona tha

use to chand bhi bechaargi mein chhoD gaya

andheri raat ka jugnu mujhi ko hona tha

zara si baat pe ye jog kaun leta hai

tumhaare pyar mein sadhu mujhi ko hona tha

badan ke aur hawale to sab salamat the

magar kaTa hua bazu mujhi ko hona tha

kisi ka karb meri zat se umaDta hai

kisi ki aankh ka aansu mujhi ko hona tha

main ism rakhta hun yari mein gham-gusari mein

har ek zaKHm ka daru mujhi ko hona tha

gharon ko chhoD ke sab hoshiyar kahlaen

watan ki miTTi ka madho mujhi ko hona tha

ye apni apni tabiat ki baat hai 'saqib'

use jo phul to KHushbu mujhi ko hona tha

(766) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghazal Mein Dard Ka Jadu Mujhi Ko Hona Tha In English By Famous Poet Asif Saqib. Ghazal Mein Dard Ka Jadu Mujhi Ko Hona Tha is written by Asif Saqib. Read famous Poem Ghazal Mein Dard Ka Jadu Mujhi Ko Hona Tha for youth and Student by Asif Saqib. Free Download Ghazal Mein Dard Ka Jadu Mujhi Ko Hona Tha in PDF.