Jhankar Hai Maujon Ki Bahte Hue Pani Se

jhankar hai maujon ki bahte hue pani se

zanjir machal jae qadmon ki rawani se

ek mauj-e-saba bhejun afkar ke zindan ko

jo lafz chhuDa lae pur-pech maani se

kitni hai paDi mushkil din phirte hain aaKHir mein

main ne ye sabaq sikha bachchon ki kahani se

tafsil se likkha tha jab nama mohabbat ka

'ghaalib' ko gharaz kya thi paigham-e-zabani se

ji karta hai mar jaen ab lauT ke ghar jaen

jannat ka KHayal aae gandum ki girani se

KHushbu ko uDane mein ye raat ki chori kyun

puchhe to koi ja kar us raat ki rani se

kis darja munafiq hain sab ahl-e-hawas 'saqib'

andar se to patthar hain aur lagte hain pani se

(1018) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jhankar Hai Maujon Ki Bahte Hue Pani Se In English By Famous Poet Asif Saqib. Jhankar Hai Maujon Ki Bahte Hue Pani Se is written by Asif Saqib. Read famous Poem Jhankar Hai Maujon Ki Bahte Hue Pani Se for youth and Student by Asif Saqib. Free Download Jhankar Hai Maujon Ki Bahte Hue Pani Se in PDF.