Ojhal Hui Nazar Se Be-baal-o-par Gai Hai

ojhal hui nazar se be-baal-o-par gai hai

lafzon ki be-karani baston mein bhar gai hai

diwar-e-dil pe ab tak hum dekhte rahe hain

taswir kis ki laTki kis ki utar gai hai

us ki gali mein hum par patthar baras paDe the

jaisa guzar hua tha waisi guzar gai hai

jab DhunDte rahe the utni KHabar nahin thi

hum mein kidhar se aai duniya kidhar gai hai

bhagi thi ek hasina baghon ke shor-o-ghul se

us ki bala jawani bachchon se Dar gai hai

hai chal-chalaw kaisa kaisa hai aana-jaana

wo sham ja chuki thi ab wo sahar gai hai

sine ke bich 'saqib' aisa hai marna jina

ek yaad ji uThi thi ek yaad mar gai hai

(809) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ojhal Hui Nazar Se Be-baal-o-par Gai Hai In English By Famous Poet Asif Saqib. Ojhal Hui Nazar Se Be-baal-o-par Gai Hai is written by Asif Saqib. Read famous Poem Ojhal Hui Nazar Se Be-baal-o-par Gai Hai for youth and Student by Asif Saqib. Free Download Ojhal Hui Nazar Se Be-baal-o-par Gai Hai in PDF.