Zamin Kahin Hai Meri Aur Aasman Kahin

zamin kahin hai meri aur aasman kahin

bhaTak raha hun KHalaon ke darmiyan kahin

mera junun hi mera aaKHiri taaruf hai

main chhoD aaya hun apna har ek nishan kahin

isi liye main riwayat se munharif na hua

ki chhoD de na mujhe mera KHandan kahin

likhi gai hai meri fard-e-jurm aur jagah

liye gae hain gawahan ke bayan kahin

hawa-e-tund se laDna meri jibillat hai

Dubo hi de na mujhe ye meri uDan kahin

dil-e-hazin ka ajab haal hai mohabbat mein

koi ghazab hi na Dha de ye na-tawan kahin

main dastan-e-mohabbat ise suna aaya

kahin ka zikr tha lekin kiya bayan kahin

hawa-e-shahr tujhe ras hi nahin 'asif'

misal-e-qais tu sahra mein KHak chhan kahin

(705) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamin Kahin Hai Meri Aur Aasman Kahin In English By Famous Poet Asif Shafi. Zamin Kahin Hai Meri Aur Aasman Kahin is written by Asif Shafi. Read famous Poem Zamin Kahin Hai Meri Aur Aasman Kahin for youth and Student by Asif Shafi. Free Download Zamin Kahin Hai Meri Aur Aasman Kahin in PDF.